Ek Khwahish Hai Bas Zamane Ki,
Teri Aankhon Mein Doob Jaane Ki;
Saath Jab Tum Nibha Nahi Paate,
Kya Zaroorat Thi Dil Lagane Ki!
~ Abhishek Kumar Amber
Zindagi Kavish-e-Batil Hai Mera Saath Na Chhod,
Tu Hi Ik Umar Ka Hasil Hai Mera Saath Na Chhod;
Log Milte Hain Sar-e-Raah Guzar Jaate Hain,
Tu Hi Ik Hum-Safar-e-Dil Hai Mera Saath Na Chhod!
~ Mazhar Imam
Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain,
Teri Aankhon Ko Padhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain;
Tumhara Naam Likhne Ki Izazat Chin Gayi Jab Se,
Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain!
~ Wasi Shah
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi,
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;
Le Gaya Chheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar,
Be-Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi!
~ Bahadur Shah Zafar
Jag Mein Aa Kar Idhar Udhar Dekha,
Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha;
Jaan Se Ho Gaye Badan Khali,
Jis Taraf Tu Ne Aankh Bhar Dekha!
~ Khwaja Meer Dard
Tamam Umar Tera Intezar Hum Ne Kiya,
Is Intezar Mein Kis Kis Se Pyaar Hum Ne Kiya;
Talash-e-Dost Ko Ek Umar Chahiye Ai Dost,
Ki Ek Umar Tera Intezar Hum Ne Kiya!
~ Hafeez Hoshiarpuri
Kiya Hai Pyaar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah,
Woh Aashna Bhi Mila Hum Se Ajnabi Ki Tarah;
Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Tariki,
Chhupega Woh Kisi Badli Mein Chandani Ki Tarah!
~ Qateel Shifai
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa,
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;
Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh,
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa!
~ Ahmad Faraz
No comments:
Post a Comment